ya-rab tere bandon se qaza khel rahi hai ek khel ba-unwan-e-dagha khel rahi hai jis khel ko sarsar ne bhi khela na chaman mein us khel ko ab baad-e-saba khel rahi hai uljhe hue haalat ke tewar hain khatarnak badle hue mausam ki hawa khel rahi hai rindan-e-tahi-dast saza-war-e-subu hain! tuti hui tauba se ghata khel rahi hai laghzida qadam izn-e-khirad mang rahe hain duzdida nigahon mein haya khel rahi hai aurang-e-shahi hech hai rindon ki nazar mein mahlon ki bulandi pe qaza khel rahi hai ehram se jubbe se musalle se aba se 'shorish' meri be-khauf nawa khel rahi hai