bad-dua hai hamare liye subh ke hont par bad-dua hai gharon mein utarti azanon mein hukm-e-saza hai suno bad-dua hai hamare liye subh ke hont par bad-dua hai suno hum ne shab bhar use yaad rakkha andhere ki diwar ke sard sine se lag kar use apne dil ke ufuq se sada di kabhi apni sanson ke dukh mein pukara dilason ki dahliz par tute khwabon ki dhajjiyan raat bhar jagne ka sila hai suno bad-dua hai hamare liye subh ke hont par bad-dua hai suno shahr walo kahan hai hamare lahu ki bashaarat hamare pur-asrar khwabon ka mausam jise hum ne bachchon ki palkon se sincha jise maon ki iltijaon se manga hamara muqaddar hawaon mein udta hua maut ka zaiqa hai suno ba-dua hai