watan ki khidmat-e-be-laus hai har shakhs par lazim yahi wo kaam hai jo aadmi ke kaam aata hai laga di jati hai hubb-e-watan mein sar ki bazi bhi ek aisa bhi wufur-e-josh mein hangam aata hai palatne hi ko hai qismat tumhaari ai watan walo tumhaare waste ye arsh se paigham aata hai ghulami dur hoti hai tumhaari ab koi dam mein hukumat aur sardari ka phir hangam aata hai musibat hai ye bilkul aarzi is par na ghabrana bas ab aata hai ahd-e-rahat-o-aram aata hai wahi phir bhi bazm hogi phir wahi ranginiyan hongi wahi paimana aata hai wahi phir jam aata hai tum apni na-tawani se pareshan is qadar kyun ho kabhi kamzor hona bhi bashar ke kaam aata hai mita deta hai dam mein nakhwat-e-namrud ek machchhar kabhi aisa bhi daur-e-gardish-e-ayyam aata hai khuda-ra is niza-e-bahami ko khatm farma do zara socho ki tum par kis qadar ilzam aata hai kabhi chidta hai gar mazkur, qaumon ki jahaalat ka to sab se pahle kanon mein tumhaara nam aata hai ye nukta yaad rakkho us ko bhula kah nahin sakte jo waqt-e-subh ja kar, ghar pe waqt-e-sham aata hai
This is a great sardari shayari in punjabi language. True lovers of kamzor nahi shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore nice shayari. Please share if you liked this!!!