khidki andhi ho chuki hai dhul ki chadar mein apna munh chhupae kali sadken so chuki hain dhup ki nangi chudelon ke sulagte qahqahon se ja-ba-ja pedon ke sae jal rahe hain mez par gul-dan mein hanste hue phulon se mithe lams ki khushbu ka jharna bah raha hai ek saya aaine ke kan mein kuchh kah raha hai ahd-e-rafta ki gilahri khub-surat dum uthae roti ke tukde ko danton mein dabae bhagti hai ek makdi maghribi kone mein jala bun rahi hai shahr khali ho raha hai kya tum apni zindagi se mutmain ho? han nahin hun khair jaane do suno masjid ka wo budha moazzin khair ki jaanib bulata hai tumhein apna gham kis se kahen