imtihan ki raat aur main jhidkiyan sunta rahun har inayat har karam ko muskura kar main sahun huk si dil mein uthe aur kuchh na main phir bhi kahun ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun ban ke rattu pas kar jaun meri fitrat nahin imtihan mein doston se lun madad aadat nahin mehrban hon master aisi meri qismat nahin ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun ye rupahli raat aur baghon mein aamon ki bahaar kya kitabon mein lage dil aur kya aae qarar hae lekin is ghadi koi nahin rah-e-farar ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun dil ye kahta hai kitaben chhod aur danda utha doston ke sath ja kar bagh mein amrud kha kuchh agar mali kahe to qahqahe mil kar laga ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun le ke basta hath mein school jaana hai ghazab master sahab se maula-bakhsh khana hai ghazab kale takhte par sawalon ka banana hai ghazab ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun ji mein aata hai ki ab school jaana chhod dun main hi badh kar dosto ab waqt ka rukh mod dun ye nahin mumkin to phir main apna hi sar tod dun ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun