(tisri duniya ke tamam logon ke nam) ajab hadsa hai ki bachpan mein hum jin khilaunon se khele the ab wo khilaune hamare hi haalat se khelte hain wo nazuk mujassame wo rangin gudiyaen tayyare pistol fauji sipahi kabhi jo hamare ishaaron ke mohtaj the aafrin tujh pe meyar-e-gardish ki ab wo khilaune hamein chabiyan bhar rahe hain hamare maweshi hamare hi baghat ko char rahe hain khilaunon ke is khel mein hum to yun kho gae hain ki har kaam ki hum se ummid rakh lo agar koi taqwe ki chabi ghuma de to dadhi badha len agar koi thodi si qimat laga kar kisi shakhs ka ghar bata de to agle hi pal mein us ki gardan uda den hamara hai kya hum to andhe muazzin hain bazu pakad ke jo garje mein le jaoge to bhi maryam ki taswir ke samne ungliyan kan mein thuns lenge hamara hai kya hum to patthar ki wo murti hain jise chahe sajda karo ya tamacha laga do magar wo to hathon se chhati chhupae sada muskuraati rahegi