wo kya tha qahqaha tha chikh thi chinghad thi ya dahad thi? us ne samaat chirti aawaz ka gola utarti raat ki bhigi hui pahnai mein dagha to mere panw ke niche zamin chalne lagi ye tum ne kya kiya meri dabi aawaz ne puchha to wo ek ghunt pani se phati aawaz ko si kar kisi andhe kuen ki tah se bola mujhe jab bhi meri bedard sochen tang karti hain zamane ki rawish se jab meri khurd-rau dalilen jang karti hain kitaben jab mere sar ka nishana bandh ke apni ibarat sang karti hain to mujh se aur kuchh bhi ho nahin sakta main ye bedard aawaza lagata hun wagarna so nahin sakta