ek naya paghambar-e-amn-o-aman paida hua karwan mein ek amir-e-karwan paida hua ek khizr-e-ahd-e-hazir ek kalim-e-ahd-e-nau ek sadr-e-mahfil-e-ruhaniyan paida hua ek hudi-khwan-e-mohabbat ek naqib-e-ittihad ek fida-e-soz-e-naqus-o-azan paida hua haq ka saudai haqiqat ka ilm khole hue sidq ka shaida safa ka pasban paida hua sar-ba-sar ek muzhda-e-taskin-e-mardan-e-zaif quwwat-e-bazu-e-yaran-e-jawan paida hua is chaman ki sarzamin hai ru-kash-e-haft-asman is chaman mein tair-e-arsh-ashiyan paida hua ek gul-e-taza jo murjha kar bhi murjhaya nahin safha-e-hasti pe naqsh-e-jawedan paida hua khun se is ke aaj bhi gul-rang hai khak-e-watan fakhr-e-alam nazish-e-hindostan paida hua