harf ke tar mein jitne aansu piroe gae dard un se fuzun tha suno to kahun tum kaho to kahun zarf ki dastan ketiyon ko gila baadalon se nahin surajon se bhi tha bazuon se bhi tha hal pakadne se pahle hi jo thak gae kisht-e-zar-khez par aab-e-namkin jam sa gaya raqs tham sa gaya ediyan ghumte ghumte ruk gain ashk rukhsar ki ghatiyon se gira munjamid ho gaya rang khushbu bana to hawa chal padi khwab nata bana to khuli khidkiyon mein salakhen ugin hath zakhmi hue kis ke kashkol se kitne sikke gire hijr kaisa parinde ki aankhon mein tha ghaw kaise pahadon ke sine pe the aaina gung tha farsh par aks dham se gira kirchiyan ho gaya tum kaho to ginun tum kaho to chunun tum kaho to sunun in khule phul ki dhadkanen gum-shuda titliyon ki sada zard tahni ke honton pe rakkhi hui bad-dua aasmanon ki dahliz par phenk dun tum kaho to dikhaun tumhein ek tamasha ki jo meri mutthi mein hai ek gardan ki jo gham ke phande mein hai sans chalti bhi hai aur chalti nahin jaan nikalti nahin