zawal par thi bahaar ki rut khizan ka mausam uruj par tha udasiyan thin har ek shai par chaman se shadabiyan khafa thin un hi dinon mein thi main bhi tanha udasi mujh ko bhi das rahi thi wo girte patton ki sukhi aahat ye sahra sahra bikharti haalat hami ko meri kuchal rahi thi main lamha lamha sulag rahi thi mujhe ye irfan ho gaya tha haqiqat apni bhi khul rahi thi ki zat apni hai yun hi fani jo ek jhatka khizan ka aae to zindagi ka shajar bhi is pul khamosh-o-tanha khada milega mizaj aur khush-rawi ke patte dilon mein logon ke misl-e-sahra phirenge mare ye yaad ban kar kuchh hi dinon tak magar muqaddar hai un ka fani ke lakh patte ye shor kar len mizaj mein sar-kashi bhi rakh len ya girya kar len udas ho len to farq use ye bas padega zamin un ko samet legi zara si phir ye jagah bhi degi karishma qudrat ka hai ye aisa uruj par hai zawal apna har ek ko hai palat ke jaana