lo waqt hua raat ka aur aah nadarad bijli abhi aai thi abhi wah nadarad is tirgi mein hosh hai wallah nadarad 'asrar' andhere mein jo hai jhelna wo jhel bijli hui phir roz-e-guzishta ki tarah fel ghaeb hui bijli to hui fikr ki lo tez logon ne usi waqt kya tanz ko mahmez tum lakh karo apni tabiat ko sukhan-khez mumkin nahin us waqt takhayyul ki mundhe bel bijli hui phir roz-e-guzishta ki tarah fel hamdam ne kaha aaj andhere mein hi khao kuchh kide-makodon ko bhi salan mein milao be-kharch maza murgh musallam ka udao ye lutf-o-karam jaan pe khud apni gaya jhel bijli hui phir roz-e-guzishta ki tarah fel jab mom ki batti na hi dhabri nazar aai ek puri kitab ek nai copy hi jalai tab ilm ki daulat se zara raushni pai das bis kitabon ko jalaya ki na tha tel bijli hui phir roz-e-guzishta ki tarah fel ham-surat-e-mashuq-e-tarah-dar hai bijli 'asrar' ke ghar mein bhi pur-asrar hai bijli har roz sar-e-sham hi bimar hai bijli chalte hue yak-bargi ruk jati hai ye rail bijli hui phir roz-e-guzishta ki tarah fel ham-surat-e-mashuq-e-tarah-dar hai bijli 'asrar' ke ghar mein bhi pur-asrar hai bijli har roz sar-e-sham hi bimar hai bijli chalte hue yak-bargi ruk jati hai ye rail bijli hui phir roz-e-guzishta ki tarah fel bijli ke chale jaane se takra gae kuchh log cup chae ka sherwani pe chhalka gae kuchh log tariki mein jeb apni katarwa gae kuchh log har roz mere shahr mein hota hai yahi khel bijli hui phir roz-e-guzishta ki tarah fel ab pas ke hotel mein bhi jaana nahin mumkin ahbab se gap ja ke ladana nahin mumkin had ye hai kalam apna sunana nahin mumkin bijli ke chale jaane se ab ghar bhi bana jail bijli hui phir roz-e-guzishta ki tarah fel