khizan mausam nahin hai ek lamha hai ki jis ki aarzu mein sabz patte hawa ki aahaton par kan dharte hain guzarte waqt mein saat-ba-saat nae pairahanon mein gulabi aur gahre surkh unnabi dahakte khushnuma rangon se le kar zard hone tak kabhi dhime kabhi unche suron mein baat karti khushbuon mein bas-basa kar hawa ke sath mahw-e-raqs hona chahte hain zamin ka rizq ban jaane se pahle wahi ek ajnabi waraftagi aur raqs ka lamha kahin par daur-e-ainda ke mausam ki samaat mein kisi soe hue ek bij mein khwahish numu ki sar uthati hai bahut hi pyar se har shakh ke patte se kahti hai ki ab rizq-e-zamin ban kar kisi ek narm konpal ki numu ka aasra ban ja khizan mausam nahin hai ek masarrat-khez takhliq-e-amal ka aasra hai