nigahon se ojhal raho tum hazaron pardon ke pichhe ghaeb ho jao aur dil mein aisa sannata chha jae jaisa janaza nikalne ke baad kisi ghar mein hota hai lekin na jaane kya hai ki jab khwab aur bedari ke darmiyan khoi khoi si alam-nak bojhal raat khatm hone ke qarib aati hai aur bechaini khud thaki haari be-hoshi ke gale mein bahen dal kar so jati hai unhin bhor ke adh-jage adh-soe dhundlakon mein aisa lagta hai ki meri band aansu bhari dabdabai aankhon ko kisi ne halke se chum liya