shab ek sath guzarne wale din ikatthe nahin guzar sakte ki andhera tanhai ki aankh par ungli rakh deta hai aur waslati hijr ka sara dukh pi jata hai sawera bahut bolta hai sare raaz kholta hai raat katna mushkil din us se siwa mushkil raushni aap ko ek sath dikhane ka fareb deti hai aur shayad kaamyab ho jati hai main ne khud ko tamam umr dhoke ki san par rakkha zindagi ek tani hui rassi hai jis par chalte hue har shai khai malum hoti yahan tak ki nila aasman bhi aur aansu jaise zamin par bikhre sitare nasheb se faraaz tak ka safar qadmon se nahin jazbon se tai hota hai lekin ek mazur shakhs kya jaane ki rang se khushbu ka hath chhut jae to safar tawil ho jata hai phir na jazbe kaam aate hain na hi qadam