ye kis dayar mein le aai zindagi mujh ko jahan pe phul se chehre babul lagte hain jahan pe saya bhi lagta hai dhup ki manind nasim chalti hai ruk ruk ke aise sine mein ki jaise phans kisi yaad ki atakti ho jahan pe abr bhi suraj-misal lagta hai jahan kiran ki zarb zakhm-e-dil khurachti hai khile jo phul to patti se chot lagti hai ye dahr wo hai jidhar baad-e-khush-gawar-e-sahar dariche khol ke yaadon ke aah bharti hai har ek chehre pe aawezan aankh hai lekin kisi nazar mein koi rang-e-ashnai nahin kisi ka lams bhi poron ke raste dil mein diye jalata nahin is qadar andhera hai