chup-chap raho warna khamoshi ki chadar chaak ho jaegi mumkin hai is ki ye paki bhi paki na rah jae aur yahin phir din ke dhalne par ehsas-e-gunah badh jae paki, paki na rah jae aur yahin ye khamoshi ki chadar odh na pae kodh man ka wo ban jae behtar hai chup-chap raho is khamoshi ki chadar ko gard-e-ana se dur rakho khud ko duniya se dur rakho duniya khud ban jao apne andar tah-dar-tah baatin mein ek jahan aabaad karo akhlaq o sadaqat sabr-o-qanaat abd o riyazat samten ban jaen arz o sama ban jaen khud ko khud mein tahlil karo apni phir takmil karo