ye sat-mahe man ke khali pet ke virane mein karahe nangon, bhukon, bhik-mangon ne apni sada suhagan line aur badha di wo eazaz diya ek jagah mustaqil bana di un ki khamida pusht apne kohan se mudi kaman thi jis ki bad-surat parchhain khatt-e-falak par dagh kadhti thi nile rang afsurda lagte the un ke bap purane ghag bade jalali bhik-mange the sare kasa-leson par kuchh aisi dhak! wo un ki aawaz sunen to rasta chhod den aur gale mein aisi tan! jo pankaj ki kharaj bhula de (ajab zamana tha jo europe ke gulzaron mein akhwe phutte the tab bangal ke aur punjab ke lash lash karte kheton mein dhan aur gandum ke khoshe murjhane lagte the) is pas-e-manzar mein bap ki mustaqbil-andeshi ne tin baras ki lunj-munj si chiz ke donon hat chat chat tod ke ek ek kuhni aur bana di thi chaar-dang mein shohrat phail gai parda parda chaar kuhniyon wale ram-charan alkubde aate hain is aawaz ne itne itwaron ki khamoshi todi thi jin ka hisab nahin ye kachhwe ki ulti pith aisi takhti ki kashti mein pairon ke patwar chalate humak humak andar aate aur chiqon ke pas pahunch kar tam chini bartanon se chapar chapar khane khate aur dadi jaan ke sae se sahj sahj baaten karte jate the sola sal yahi mamul raha dildari aur shikam-puri ka yahi usul raha ek sham abhagan aai ye nahin aae koi sitla dain aai ye nahin aae badi dhundayya padi udasi phail gai ammi jaan aur dadi jaan ne paise bhej ke jalwane ka band-o-bast kiya to jal kar bhasm hue par un ki muqaddas rakh aaj bhi meri ruh mein udti hai parda parda chaar kuhniyon wale ram-charan alkubde aate hain