khud-kushi ke pul par samundar ki lahron mein bahti fasurda o nakaam jismon ki ruhen bulati hain mujh ko chale aao har gham se daman chhuda lo mita do fana hone wale badan ko mita do fana se na darna yahi asl mein zindagi hai isi mein haqiqi khushi hai samundar ki lahron mein sayyal ruhon ke giton mein behad kashish hai ye dil chahta hai ki main ja milun un se un sa hi ho jaun par main unhen kis tarah ye bataun ki ai iztirab-e-musalsal ke girdab mein qaid ruho mujhe tum se hamdardi hai pyar hai main khud chahta hun man o tu ki sari fasilen phalagun magar kya karun kuchh muqaddas se rishte dua-go si aanhken mujhe yaad aati hain chup-chap ghar laut aata hun main un hasin pyare logon ki khatir to jina padega ye zahrab pina padega