KHud-kushi

ek aise sarwey ke mutabiq
jo mere dost

apne dil ko mausul hone wali
ghair-zaruri khabron ko jama kar ke

murattab kar rahe hain
shahr mein koi khud-kushi nahin kar raha

mohabbat mein nakaami par finail pine wali ladkiyan
aur naukri na milne par

bade bhai ke licence-yafta pistol se
khud-kushi karne wale ladke

bahut din se nazar nahin aae
dupatte ka phanda bana kar mar jaane wali

be-aulad dulhanen
aur tawil bimari se tang aa kar

khud ko jala kar halak karne wale
udhed-umar mariz

napaid ho gae hain
shahr mein ab jis ko bhi khud-kushi karni ho

use bahut ziyaada tag-o-dau nahin karni padti
wo bahar nikalta hai

aur thodi der ke liye
nishana-bazon wali yellow cab ka

intizar karta hai
ya jab us ki sadak ke donon taraf

khub firing ho rahi ho
wo bila-irada balcony mein ja ke khada ho jata hai

jab log khud-kushi karna chahte hain
yaqin kijiye

kisi jinsi imtiyaz ke baghair
rang, nasl aur zaban ke farq ko khatir mein na late hue

goliyan har jagah
unhen dhundh nikalti hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close