main andhere ki phaili hui khaiyon mein jo gum ho gaya hun to is ki wajah ye nahin hai ki mujh mein ziya-bar kirnon ka fuqdan hai ya raushni ki tamazat ko sahne ka hamil nahin hun haqiqat to ye hai jise raushni ka tum mamba samajh kar azal se tawaf-e-mukarrar mein masruf ho wo tumhaare hi andar ki simti hui tarikiyon ke siwa kuchh nahin hai aur main! main mujassam munawwar-nigahi ki khwahish liye safar mein raha hun safar mein rahunga abad tak!!