suna hai resham ke kidon ne patton ki hariyali chati shabnam ke qatron ki damak bhi phulon ke rangon ko churaya chand ki kirnon ke lachchhon se resham kata aur ek than kiya tayyar jis ko pa lene ki khatir shirin ne farhad ko becha hir ne hire laila ne zulfon ki siyahi lekin sauda ho na saka ab phulon mein rang nahin hai shabnam pani ke qatron mein dub gai hai patte patte hain lekin be-ab-o-numu chand hai lekin bhik ka piyala kirnon se mahrum suna hai resham ke kide ye sochte hain un shahron se kuch karen jin mein un ke resham ka gahak hi nahin hai suna hai shirin hir aur laila apne namon ko badlenge shayad yunhi un ke aashiq phir un ko pahchan saken