KHuda

kya khuda tujh ko bhul jaun main
kis liye tere gun gaun main

mujh ko insan bana diya tu ne
sidha rasta bata diya tu ne

phir samajh di ki nek kaam karun
kitna uncha utha diya tu ne

kya ye ehsan bhul jaun main
kis liye tere gun na gaun main

chand suraj jo jagmagate hain
garmi aur raushni bahate hain

zindagi ka yahi sahaara hain
khetiyan bhi yahi pakate hain

ye na chamken to kuchh na khaun main
kis liye tere gun na gaun main

ye ghataen ye thandi thandi hawa
ye samundar pahad ye dariya

ye ghane aur ye lahlahate khet
tu ne mere liye kiye paida

den ko teri kya ginaun main
kis liye tere gun na gaun main

gay ya bhains bail ya bakri
unt ghode pahad se hathi

dudh ghi den mujhe sawari den
joten boen yahi meri kheti

kya diya tu ne kya bataun main
kis liye tera gun na gaun main

tu ne mata pita ka pyar diya
phir mujhe ilm se sanwar diya

badh ke in sab se tandurusti di
jo diya tu ne be-shumar diya

chahiye sar tujhe jhukaun main
kis liye tere gun na gaun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close