watan ki miTTi

mere watan ki mitti sona ugal rahi hai
sabze ki ye hukumat ye khet lahlahate

patte hawa se chhu kar ek rag sa sunate
sota hua muqaddar insan ka jagate

paude nahin zamin se daulat ubal rahi hai
mere watan ki mitti sona ugal rahi hai

makka hai ya zamurrad tan kar khade hue hain
dhanon ki baaliyon mein hire jade hue hain

bhutte hain jwar ke ya moti jade hue hain
iflas ke gale par talwar chal rahi hai

mere watan ki mitti sona ugal rahi hai
jau mein chhupi hui hai sheron se badh kar taqat

pata hun main chane mein sau sau tarah ki lazzat
gehun ko kyon na samjhun apni watan ki daulat

is ke hi bal pe sari makhluq mein rahi hai
mere watan ki mitti sona ugal rahi hai

phal phul hon ki mewe kya se kya yahan nahin hai
kanon ka ek khazana is mulk ki zamin hai

pukhraj bhi yahin hai yaqut bhi yahin hai
pane ko jin ko sari duniya machal rahi hai

mere watan ki mitti sona ugal rahi hai
aisi zamin pa kar khushiyan na kyon manaen

aapas ka bair chhoden mil-jul ke aish udaen
duniya mein is zamin ki sab aabru badhaen

lazim hai log sambhlen duniya sambhal rahi hai
mere watan ki mitti sona ugal rahi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close