khuda-e-bartar teri zamin par zamin ki khatir ye jang kyun hai har ek fath-o-zafar ke daman pe khun-e-insan ka rang kyun hai zamin bhi teri hai hum bhi tere ye milkiyat ka sawal kya hai ye qatl-o-khun ka riwaj kyun hai ye rasm-e-jang-o-jidal kya hai jinhen talab hai jahan bhar ki unhin ka dil itna tang kyun hai khuda-e-bartar teri zamin par zamin ki khatir ye jang kyun hai gharib maon sharif bahnon ko aman-o-izzat ki zindagi de jinhen ata ki hai tu ne taqat unhen hidayat ki raushni de suron mein kibr-o-ghurur kyun hai dilon ke shishe ye rang kyun hai khuda-e-bartar teri zamin par zamin ki khatir ye jang kyun hai