shah sahab khush-nazar the khush-ada the aur rozi ke andhere raston par sabr ki tuti hui chappal pahan kar ek lalak ek tantane ke sath sargarm-e-safar the aur jine ke maraz mein mubtala the jo ghizaen dastaras mein thin ajab be-nur thin un mein numu-kari na thi wo jo moti ki si aab aankhon mein thi jati rahi putliyon mein khun kai ki tarah jamne laga rafta rafta motiyabind un ke didon par zamurrad ki tarah utra ajab parda pada sare zamane se hijab aane laga muztarib aankhon ke dhele khushk pathrae hue itne be-masraf ki bas ek sabza darwaze ke pichhe band sipi ki tarah se aur andhere aaina dikhlaen istinja karen sirf dushman raushni ka intizar-e-zindagani ghazwa-e-khandaq hui is qadar dekha ki na-bina hue aur jab rawaq nigahon mein siyahi ki silai phir gai chhitnar aankhon se tajalli ki sunahri patiyan girne lagin to shah sahab aur be-saya hue un ki andhi muntaqim aankhon mein duniya ek qatil ki tarah se jam gai jaise marte sanp ki aankhon mein apne ajnabi dushman ka aks yun sarasima hue yun zat ke sunsan sahraon mein afsurda phire jaise jite jagte logon ko dekha hi na ho jo shabihen dhyan mein mahfuz thin in se rishta hi na ho jagmagati be-qarar aankhen kisi sahme hue ghonghe ke hathon ki tarah dekhti thin sunghti thin lams karti thin wahi jati rahin to zindagi se rabta jata raha hamdami ka silsila jata raha wo jo ek gahra talluq ek amar sambandh sa chaaron-taraf bikhri hui chizon se tha hanste hue rote hue logon se tha is tarah tuta ki jaise sher ki ek jast se zubair ki ridh ki haddi chikh jati hai barson be-tarah be-kal rahe ek din aankhon mein sahra jal utha wo khayal aaya ki chehra jal utha apne beton ko kaleje se lagaya ji bhara tha abr ke manind roe rah chuke to ek mohlik aatishin tezab ke shoala-e-saffak se un ki faqa-sanj aankhon ko jalaya aur sajde mein gire jaise gahri nind mein hon jaise ek sakte mein hon muddaton se un bayaban raston par chaar andhe doston ka ek koras gunjta hai ai sakhi shahr-e-sakhawat mein guzar auqat kar ai nazr wale nazr khairaat kar