khuda tumhaara nahin hai khuda hamara hai use zamin pe ye zulm kab gawara hai lahu piyoge kahan tak hamara dhanwano badhao apni dukan sim-o-zar ke diwano nishan kahin na rahega tumhaara shaitano hamein yaqin hai ki insan us ko pyara hai khuda tumhaara nahin hai khuda hamara hai use zamin pe ye zulm kab gawara hai nae shuur ki hai raushni nigahon mein ek aag si bhi hai ab apni sard aahon mein khilenge phul nazar ke sahar ki banhon mein dukhe dilon ko isi aas ka sahaara hai khuda tumhaara nahin hai khuda hamara hai use zamin pe ye zulm kab gawara hai tilism-e-saya-e-khauf-o-haras todenge qadam badhaenge zanjir-e-yas todenge kabhi kisi ke na hum dil ki aas todenge rahega yaad jo ahd-e-sitam guzara hai use zamin pe ye zulm kab gawara hai