hamein kis hath ki mahbub rekhaon mein rahna tha kis dil mein utarna tha chamakna tha kin aankhon mein kahan par phul banna tha to kab khushbu ki surat ku-e-jaanan se guzarna tha samajh mein kuchh nahin aata hamein kis qarya-e-ab-o-hawa ke sang rahna tha kahan shamen guzarni thin kahan mahtab raaton mein kisi ko yaad karna tha kisi ko bhul jaana tha kahan par subh ka aaghaz karna tha kahan suraj nikalna tha safar ke dasht mein tanha thake-haare musafir ko kahan khema lagana tha kahan dariya mein kashti dalna thi aur kis sahil utarna tha samajh mein kuchh nahin aata hamein kis qarya-e-ab-o-hawa ke sang rahna tha