khuda ki ye baaten khuda jaanta hai nikalta hai mashriq se kis tarah suraj falak par chamakta hai ye chand kyunkar kahan se samundar mein aate hain tufan ujala hai kaisa ye shams-o-qamar par khuda ki ye baaten khuda jaanta hai bahaaron ka gul ko pata kis tarah hai ada ghunchon ko ye chatakne ki kyon di kahan se hai aaya khizan ka ye mausam ghata ko ye khubi barasne ki kyon di khuda ki ye baaten khuda jaanta hai