kya mere husn-e-dil-awez pe tu marta hai shoala-rui pe meri jaan fida karta hai ye agar sach hai to ja mujh se mohabbat mat kar nigah-e-ishq rukh-e-mahr-e-jahan-tab pe dal husn-e-be-misl ko jis ke na ajal hai na zawal kam-sini par meri mail hai tabiat teri husn-e-nau-khez se wabasta hai ulfat teri ye agar sach hai to ja mujh se mohabbat mat kar teri ulfat ke hai qabil rukh-e-zeba-e-bahaar jis ke anmol jawahar ka nahin koi shumar chahta hai mujhe tu kya meri hashmat ke liye dil hai bekal tera mere zar-o-daulat ke liye ye agar sach hai to ja mujh se mohabbat mat kar chahiye tujh ko kare bahr-e-guhar-khez se pyar jis ke anmol jawahar ka nahin koi shumar pyar mujh se hai tujhe kya meri ulfat ke liye dil hai parwana tera sham-e-mohabbat ke liye ye agar sach hai to kar mujh se mohabbat pyare behtar az mehr-o-bahaar-e-dil-e-shaida mera bahr mein bhi nahin aisa guhar-e-mehr-o-wafa