wafa ke paiman sab bhula kar jafaen karte wafa ke qatil rasul-e-haq ke jo ummati hain wahi hain aal-e-eba ke qatil ye us ki apni hi maslahat hai wo jism rakhta nahin hai warna ye mansabon ke ghasab ke aadi zarur hote khuda ke qatil na hi amanat na hi diyanat na hi sadaqat na hi sharafat nabi ke mimbar par aa gae hain nabi ki har ek ada ke qatil imam jin ka yazid hoga wo kaise jaanen husain kya hai bane bhi hain qari la-ilah ke ye la-ilah ki baqa ke qatil ye mansabon ke ghasab ke aadi zarur hote khuda ke qatil