ye kaun utha hai sharmata rain ka jaga nind ka mata nind ka mata dhum machata angdai leta bal khata ye kaun utha hai sharmata rukh pe surkhi aankh mein jadu bhini bhini bar mein khushbu banki chitwan simte abru nichi nazren bikhre gesu ye kaun utha hai sharmata nind ki lahren ganga jamni jild ke niche halki halki aanchal dhalka maski sari halki mehndi dhundli bindi ye kaun utha hai sharmata duba hua rukh tabani mein anwar-e-sahar peshani mein ya aab-e-guhar tughyani mein ya chand ka mukhda pani mein ye kaun utha hai sharmata rukhsar pe mauj-e-rangini kachchi chandi sachchi chini aankhon mein nuqush-e-khud-bini mukhde pe sahar ki shirini ye kaun utha hai sharmata aankh mein ghaltan ishrat-gahen nind ki sansen jaise aahen bikhri zulfen uryan banhen jaan se maren jis ko chahen ye kaun utha hai sharmata phaila phaila aankh mein kajal uljha uljha zulf ka baadal nazuk gardan phul si haikal surkh papote nind se bojhal ye kaun utha hai sharmata kuchh jag rahi kuchh soti hai har mauj-e-saba munh dhoti hai na-shushta rukh ya moti hai angdai se jiz-biz hoti hai ye kaun utha hai sharmata chehra phika nind ke mare phike pan mein shahd ke dhaare jo bhi dekhe jaan ko ware dharti mata bojh sahaare ye kaun utha hai sharmata halchal mein dil ki basti hai tufan-e-junun mein hasti hai aankh mein shab ki masti hai aur masti dil ko dasti hai ye kaun utha hai sharmata