jis din mujhe maut aae us din barish ki wo jhadi lage jise thamna na aata ho log barish aur aansuon mein tamiz na kar saken jis din mujhe maut aae itne phul zamin par khilen ki kisi aur chiz par nazar na thahr sake charaghon ki lawen diye chhod kar mere sath sath chalen baaten karti hui muskuraati hui jis din mujhe maut aae us din sare ghonslon mein sare parindon ke bachchon ke par nikal aaen sari sargoshiyan jal-tarang lagen aur sari siskiyan nuqrai zamzame ban jaen jis din mujhe maut aae maut meri ek shart man kar aae pahle jite-ji mujh se mulaqat kare mere ghar-angan mein mere sath khele jine ka matlab jaane phir apni man-mani kare jis din mujhe maut aae us din suraj ghurub hona bhul jae ki raushni ko mere sath dafn nahin hona chahiye