priti

tum nahin ho mitne wali nahin
pati ho janam tum nae nae

har nai bahaar ke phulon mein
manind-e-hayat tumhaare patte bhi pile pad jate hain

manind-e-hayat tumhein bhi dhak deti hai barf
par tumhaari mitti mein priti

pakke bachnon ke bij dabe hain
pura hona hai jin ko basar away mein bhi

pit na karne ki ye dhun be-kar hai
ye mahkar bhara jhonka

laut aata hai ek na ek din
aatm nagar mein

jaise raat sitaron bhari
aur samane lagti ho tum rome rome mein priti

pahle se pakiza
tum pak ho aur isi karan hua amar

jab tum hoti ho tab nilahat se
jhund ke jhund safed mulaem hanson ke

jin ko hum mare-khape samjhe the
laut aate hain

phul phul se pattiyan khilati rahti ho tum nai nai
tum sada sada ke nur ko rag bana deti ho

nai nai aawazon se janma hua rag
tum amar ho priti

jaise bahaar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close