khudawanda ye kaisa jabr hai main ne teri rassi ko pakda hi nahin lekin mujhe rassi ne jakda hai mujhe kahte hain tum aazad ho, apne liye chun lo magar bahr-e-fana ko jaane wale mujh ko rukne hi nahin dete main rukna chahta hun us hasin ke aan milne tak ki jo raste mein pichhe rah gai thi bayaban-e-numu ki be-karan tarikiyon mein an-ginat ruhon ki dhakkam-pel thi tab bhi wahi jhuti kahani thi ki tum aazad ho lekin andhera bhid aur wahshat mein lambi ghaar ke parle sire par timtimati raushni tak sab ko aana tha wo pichhe rah gai, main jabr ki rassi mein jakda ghaar se bahar nikal aaya main rukna chahta hun us hasin ke aan milne tak ki jo raste mein pichhe hai main us ka muntazir hun kitne barson se khudawand-e-fana! main teri rassi ke kai bal khol kar umr-e-rawan ke zahr se bachta raha hun phir bhi mera jism jo hasti ke jauhar ka libaada hai purana ho gaya hai main rukna chahta hun us hasin ke aan milne tak ki jab us ka labaada bhi purana ho to hum mil kar tere bahr-e-fana ke is kinare par purane pairahan dho len phir is ke baad bhi teri yahi zid ho to le jaana!!