use dukh ke sath byaha gaya ki jab aankh khuli to sar par suraj jalti nand mein dhul ise dhup ke sath byaha gaya ki jo sham pade se din guzre tak soti thi use nind ke sath byaha gaya ki jo aaj ke khwab se kal ke khwab ka sauda karti thi use byah ke sath byaha gaya ki jo kasht uthati dhup mein baithi sae se baaten karti thi use sae ke sath byaha gaya mallahon ne us ki aankhon ki tarif nahin ki bachche us ko dekh ke ruke nahin ladkiyan us ke libas pe chaunkin nahin use yun dafnaya jaise machhliyan jal se jal mein dalte hain use yun nahlaya jaise barish aabi paudon ko nahla kar khush hoti hai use sham ke sath widaa kiya jab chand ghane baadal mein chhupta phirta tha aur aankhen chunne wali machhliyan chuni gai thin aur naw ne naw ke sath gunah kiya tha mitti pani ke bete ye sab kuchh dekh chuke hote to dahshat se pahle mar jate ye dariya din se darwaze par ruka hua hai din jo aagahi hai subh ko bistar tah karne dhup mein toshak phailane kapde bistar-band sukhane raat ki batti gul karne zanjir hila kar dekhne ki aagahi ye dariya din se darwaze par ruka hua hai ye dariya raat ko andar dar aaega raat ajab pachhtawa hai apne dusre ki pahchan ka din ko ghar aane ek nasl ka qarz utarne kante chubh kar mar jaane ka pachhtawa ye raat ye din kya tabad-tod guzarte hain jab upar pani chalta hai aur niche mitti soti hai aur koi man mein pukarta hai maula mujh ko baadal kar de aur ek pichhli raat achanak chikh kisi ko aa leti hai aur ghar ka ghar uth jata hai aur din ke bahlawe mein raat bitai jati hai is mausam pani aage aaega tum ghar mein mat sona jab chhat ki khachchi jhuk jae aur pani chhal-chhal dikhta ho tab bahar sona achchha rahta hai phir mausam apne mausam ho jate hain aur rut kannya pazeb utar ke phenkti hai phir koi kisi se ye nahin kahta maula mujh ko baadal kar de ya soti mitti ya chalta pani phir koi kisi se kuchh nahin kahta phir sab apni sunte hain phir baadal barish raat zamin sab ek chadar mein sote hain aur ek chadar mein chalte hain aur hote hain aur nahin hote hain aur lafz ka wahid sarmaya khamoshi hai aur jo lafz nahin sunte hain khamoshi bhi nahin sunte hain jab pahlu-dar sutun se tek lagae ladki soti hai aur hauz ke pas khade shahzade aur un ki bandiyan aur sara shahr is aan kahin chupke se un mein ho jaana aur nahin kahna main aaya hun achchha hai aagahi aur pachhtawe aur aisi maut se jo yaksar na-malum mein hai