meri har fikr mein tufan ki tughyani hai aur mere shauq mein jazbon ki farawani hai yun junun bahta hai dariya ki rawani jaise aur meri soch mein palti hai kahani jaise main ne to himmat-e-mardan-e-khuda sikhi hai main ne tute hue lahjon ki dua sikhi hai main ne har rang ki khushbu ki ada sikhi hai main ne har zahir o baatil ka uthaya parda aur taskhir-e-zamana ki lagan dil mein liye apne hathon mein mashaqqat ke kade pahne hain main ne har aql-o-khirad fahm-o-farasat ka sahaara le kar yun zamane ko baratne ke hunar sikhe hain main ne jaane hain sabhi raaz-e-nihan aur jahan aur jaana hai khudi hai to makan mera hai aasman mera zamin meri jahan mera hai