aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazar diya jab ji chaha masla kuchla jab ji chaha dhutkar diya tulti hai kahin dinaron mein bikti hai kahin bazaron mein nangi nachwai jati hai ayyashon ke darbaron mein ye wo be-izzat chiz hai jo bat jati hai izzat-daron mein aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazar diya mardon ke liye har zulm rawa aurat ke liye rona bhi khata mardon ke liye har aish ka haq aurat ke liye jina bhi saza mardon ke liye lakhon sejen, aurat ke liye bas ek chita aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazar diya jin sinon ne in ko dudh diya un sinon ko bewpar kiya jis kokh mein in ka jism dhala us kokh ka karobar kiya jis tan se uge konpal ban kar us tan ko zalil-o-khwar kiya sansar ki har ek be-sharmi ghurbat ki god mein palti hai chaklon hi mein aa kar rukti hai faqon se jo rah nikalti hai mardon ki hawas hai jo aksar aurat ke pap mein dhalti hai aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazar diya aurat sansar ki qismat hai phir bhi taqdir ki heti hai autar payambar jannati hai phir bhi shaitan ki beti hai ye wo bad-qismat man hai jo beton ki sej pe leti hai aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazar diya