khuli fazaon ka ahd-nama

lahu ki barish
zamin ke sine pe muddaton se baras rahi thi

lahu mein dube hue kabutar faza mein arse se ud rahe the
faza mein jalte lahu ki khushbu bikhar chuki thi

har ek gosha
har ek qarya

andheri shab ke muhib sae mein ghir chuka tha
har ek insan mar chuka tha

lahu ki barish thami to dekha ki ek insan
zamin ke logon se kah raha hai

ki khwab-e-ghaflat se jag jao
mohabbaton ke diye jala kar har ek goshe ko jagmagao

utho ki tum hi andheri shab ke muhib sayon ki chandni ho
utho ki tum hi sadaqaton ke mohabbaton ke payambar ho

tum ek ho kar utho ki tum ko tumhaara dushman bhi jaan jae
tum hi ho suraj tum hi sitare

tum hi samundar tum hi kinare
sab ek ho kar uthe to dekha

gulab-khushbu faza mein har-su mahak rahi thi
har ek kabutar falak pe suraj sa lag raha tha

har ek goshe mein raushni ke hasin jugnu chamak rahe the
ye din bhi kaisa ajib din tha

mohabbaton ka
sadaqaton ka

ki us din hum se hamare qaid ne ye kaha tha
hum ek ho kar ye ahd kar len

khuli fazaon mein sans lenge
watan ki khatir hi jaan denge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close