sham hote hi main pasine mein bhiga hua badan khunti se latka deta hun din bhar ki kamai dekhne ke liye jeben tatolta hun to khali hath jebon se bahar gir padte hain sochta hun pachas se upar ka ho chuka hun mera mustaqbil kya hoga aane wali nasl ko kya munh dikhaunga pasine mein bhiga hua badan dhone se darta hun ki aane wale meri mehnat ki nishani mangenge to kya dikhaunga khunti par latka hua badan sari raat mujhe ghurta rahta hai khali hath chaarpai ke niche pade rahte hain subh hone par badan khunti se utarta hun hath chaarpai ke niche se uthata hun darwaza kholta hun din apni puri saffaki ke sath ek bar phir mere muqabil khada hota hai