zamin ab chalte chalte thak chuki hai samundar khushk hota ja raha hai falak bhi kitna budha ho chuka hai sitare raushni khone lage hain ye sayyare jo gardish kar rahe hain ye sayyare zamin par aa gae hain bikhar jaega ye shiraaza ek din sabhi zi-ruh sare jaanwar insan ye ek ek sans mangenge zamin par bigad jaega jis din bhi tawazun hamari kaenat-e-rang-o-bu ka zamin par husn-e-fitrat ko na kuchlo ye puri nasl aadam ke liye ek khud-kushi hai