aaj ke din na puchho mere dosto dur kitne hain khushiyan manane ke din khul ke hansne ke din git gane ke din pyar karne ke din dil lagane ke din aaj ke din na puchho mere dosto zakhm kitne abhi bakht-e-bismil mein hain dasht kitne abhi rah-e-manzil mein hain tir kitne abhi dast-e-qatil mein hain aaj ka din zubun hai mere dosto aaj ke din to yun hai mere dosto jaise dard-o-alam ke purane nishan sab chale su-e-dil karwan karwan hath sine pe rakkho to har ustukhan se uthe nala-e-al-aman al-aman aaj ke din na puchho mere dosto kab tumhaare lahu ke darida alam farq-e-khurshid-e-mahshar pe honge raqam az-karan ta-karan kab tumhaare qadam le ke utthega wo bahr-e-khun yam ba yam jis mein dhul jaega aaj ke din ka gham sare dard-o-alam sare jaur-o-sitam dur kitni hai khurshid-e-mahshar ki lau aaj ke din na puchho mere dosto