yaad ki rahguzar jis pe isi surat se muddaten bit gai hain tumhein chalte chalte khatm ho jae jo do chaar qadam aur chalo mod padta hai jahan dasht-e-faramoshi ka jis se aage na koi main hun na koi tum ho sans thame hain nigahen ki na jaane kis dam tum palat aao guzar jao ya mud kar dekho garche waqif hain nigahen ki ye sab dhoka hai gar kahin tum se ham-aghosh hui phir se nazar phut niklegi wahan aur koi rahguzar phir isi tarah jahan hoga muqabil paiham saya-e-zulf ka aur jumbish-e-bazu ka safar some lover to his beloved dusri baat bhi jhuti hai ki dil jaanta hai yan koi mod koi dasht koi ghat nahin jis ke parde mein mera mah-e-rawan dub sake tum se chalti rahe ye rah, yunhi achchha hai tum ne mud kar bhi na dekha to koi baat nahin this path of memory on which you have been trudging for ages if you press on a few steps further, it will wind off to where one encounters the wilderness of oblivion, at the bend beyond which neither i exist, nor you. the eyes hold their breath and wonder if you'd come back, pass by, or look back.