KHusha zamanat-e-gham

dayar-e-yar teri joshish-e-junun pe salam
mere watan tere daman-e-tar-tar ki khair
rah-e-yaqin teri afshan-e-khak-o-khun pe salam
mere chaman tere zakhmon ke lala-zar ki khair
har ek khana-e-viran ki tirgi pe salam
har ek khak-basar, khanuman-kharab ki khair
har ek kushta-e-na-haq ki khamushi pe salam
har ek dida-e-pur-nam ki aab-o-tab ki khair
rawan rahe ye riwayat, khusha zamanat-e-gham
nashat-e-khatm-e-gham-e-kaenat se pahle
har ek ke sath rahe daulat-e-amanat-e-gham
koi najat na pae najat se pahle
sakun mile na kabhi tere pa-figaron ko
jamal-e-khun-e-sar-e-khar ko nazar na lage
aman mile na kahin tere jaan-nisaron ko
jalal-e-farq-e-sar-e-dar ko nazar na lage
This is a great subah ka salam shayari. True lovers of khushi shayari love will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this dil ko sukoon shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close