dil khushamad se har ek shakhs ka kya raazi hai aadmi jin pari o bhut bala raazi hai bhai farzand bhi khush bap chacha raazi hai shad masrur ghani shah o gada raazi hai jo khushamad kare khalq us se sada raazi hai haq to ye hai ki khushamad se khuda raazi hai apna matlab ho to matlab ki khushamad kije aur na ho kaam to us dhab ki khushamad kije auliya ambiya aur rab ki khushamad kije apne maqdur gharaz sab ki khushamad kije jo khushamad kare khalq us se sada raazi hai haq to ye hai ki khushamad se khuda raazi hai chaar din jis ko kiya jhuk ke khushamad se salam wo bhi khush ho gaya apna bhi hua kaam mein kaam bade aaqil bade dana ne nikala hai ye dam khub dekha to khushamad hi ki aamad hai tamam jo khushamad kare khalq us se sada raazi hai haq to ye hai ki khushamad se khuda raazi hai bad bakhil aur sakhi ki bhi khushamad kije aur jo shaitan ho to us ki bhi khushamad kije gar wali ho to wali ki bhi khushamad kije jo khushamad kare khalq us se sada raazi hai haq to ye hai ki khushamad se khuda raazi hai pyar se jod diye jis ki taraf hath jo aah wahin khush ho gaya karte hi wo hathon pe nigah ghaur se hum ne jo is baat ko dekha wallah kuchh khushamad hi badi chiz hai allah allah jo khushamad kare khalq us se sada raazi hai haq to ye hai ki khushamad se khuda raazi pine aur pahanne khane ki khushamad kije hijde bhand zanane ki khushamad kije mast o hushiyar diwane ki khushamad kije bhole nadan siyane ki khushamad kije jau khushamad kare khalq us se sada raazi hai haq to ye hai ki khushamad se khuda raazi hai aish karte hain wahi jin ka khushamad ka mizaj jo nahin karte wo rahte hain hamesha mohtaj hath aata hai khushamad se makan mulk aur taj kya hi tasir ki is nuskhe ne pai hai riwaj jo khushamad kare khalq us se sada raazi hai haq to ye ki khushamad se khuda raazi hai gar bhala ho to bhale ki bhi khushamad kije aur bura ho to bure ki bhi khushamad kije pak napak side ki bhi khushamad kije kutte billi o gadhe ki bhi khushamad kije jo khushamad kare khalq us se sada raazi hai haq to ye ki khushamad se khuda raazi hai khub dekha to khushamad ki badi kheti hai ghair ki apne hi ghar bich ye sukh deti hai man khushamad ke sabab chhati laga leti hai nani dadi bhi khushamad se dua deti hai jo khushamad kare khalq us se sada raazi hai haq to ye ki khushamad se khuda raazi hai bi-bi kahti hai miyan aa tere sadqe jaun sas bole kahin mat ja tere sadqe jaun khala kahti hai ki kuchh kha tere sadqe jaun sali kahti hai ki bhayya tere sadqe jaun jo khushamad kare khalq us se sada raazi hai haq to ye ki khushamad se khuda raazi hai aa pada hai jo khushamad se sarokar use dhundte phirte hain ulfat ke kharidar use aashna milte hain aur chahe hain sab yar use apne begane gharaz karte hain sab pyar use jo khushamad kare khalq us se sada raazi hai haq to ye ki khushamad se khuda raazi hai rukhi aur roghni aabi ko khushamad kije nan-bai o kababi ki khushamad kije saqi o jam sharabi ki khushamad kije parsa rind kharabi ki khushamad kije jo khushamad kare khalq us se sada araazi hai haq to ye hai ki khushamad se khuda raazi hai jo ki karte hain khushamad wo bade hain insan jo nahin karte wo rahte hain hamesha hairan hath aate hain khushamad se hazaron saman jis ne ye baat nikali hai main us ke qurban jo khushamad kare khalq us se sada raazi hai haq to ye hai ki khushamad se khuda raazi hai kaudi paise o take zar ki khushamad kije lal o nilam dar o gauhar ki khushamad kije aur jo patthar ho to patthar ki khushamad kije nek o bad jitne hain yak-sar ki khushamad kije jo khushamad kare khalq us se sada raazi hai haq to ye hai ki khushamad se khuda raazi hai hum ne har dil ki khushamad ki mohabbat dekhi pyar ikhlas o karam mehr murawwat dekhi dilbaron mein bhi khushamad hi ki ulfat dekhi aashiqon main bhi khushamad hi ki chahat dekhi jo khushamad kare khalq us se sada raazi hai haq to ye hai ki khushamad se khuda raazi hai parsa pir hai zahid hai mana jati hai juwariya chor daghabaz kharabaati hai mah se mahi talak chyunti hai ya hathi hai ye khushamad to miyan sab ke tain bhati hai jo khushamad kare khalq us se sada raazi hai haq to ye hai ki khushamad se khuda raazi hai gar na mithi ho to kadwi bhi khushamad kije kuchh na ho pas to khali bhi khushamad kije jaani dushman ho to us ki khushamad kije sach agar puchho to jhuti bhi khushamad kije jo khushamad kare khalq us se sada raazi hai haq to ye hai ki khushamad se khuda raazi hai mard o zan tifl o jawan khurd o kalan pir o faqir jitne aalam mein hain mohtaj o gada shah wazir sab ke dil hote hain phande mein khushamad ke asir to bhi wallah badi baat ye kahta hai 'nazir' jo khushamad kare khalq us se sada raazi hai haq to ye hai ki khushamad se khuda raazi hai
This is a great smschacha shayari. True lovers of bhut pyar shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore waris shah shayari hindi. Please share if you liked this!!!