aisa kyun hota hai jab barg zard sukut-ashna khalaon mein aawara khamoshiyan mausam-e-khizan ki alamat dhadkanen samaat se mawara gardishen nuqta-e-injimad par aur phir koi surkh gulab tahni se tut jata hai ye kaifiyat sare chaman ko hairat-zada kar deti hai gulab ke juda hone par siskiyan to ubharti hain magar gulab ki khushbu ka amal jari rahta hai