dil-e-afsurda ki aarzuon ke ramida lamho tumhaari be-kaifi ke qafile rafta rafta harim-e-jaan se guzar rahe hain aur tumhein pata hai ki aasman ki bulandiyon pe pahunch ke insan murda ho chuka hai to phir kashid-e-jaan se nikal kar koi hasin manzar qatra qatra hayat ki tishnagi ke is kasa-e-tahi mein dalo taki sabaat ki khatir bhatke hue be-ruh jism ko kuchh qarar aa jae