main ne khwab dekha tha paniyon ke par ek din basti ek basaunga jis ke rahne walon mein nafraten nahin hongi sirf qurbaten hongi bas mohabbaten hongi yun hua ki phir ek din ek udan-khatole ne la khada kiya mujh ko meri khwab basti mein na-shanas basti ke khush-numa makanon mein qurbaten to kam kam thin duriyan ziyaada thin is se peshtar sare fard fard ghat jaen un nae makanon ke fasle simat jaen kash sab makin apne sakhta hisaron se ek din nikal aaen aur mere khwabon ki de den mujh ko ta'biren kash khwab basti ek be-makan basti ho kash sab makan apne ghar mein phir badal jaen ek aisa ghar ki jo paniyon ke par ek din dosh par ho ki main pichhe chhod aaya tha kash kash ki gardan khwab khwab yun gunji aankh khul gai sahab aankh jab kholi main ne kuchh nai diwaron ke khud ko darmiyan paya main nae jahan mein tha ek nae makan mein tha khwab main ne dekha tha