tum aksar kahte rahte ho phulon ka kya hai kuchh der mein murjha jate hain aur ye raaten chandi si do din ki kahani hai un ki lamhon mein bikhar kar rah jati hai moti ki tarah shabnam ki ladi main aksar socha karti hun kya mausam-e-gul hi sab kuchh hai aur khwab-e-bahaaran kuchh bhi nahin billor se tarshi murat se alag kya aks-e-nigaran kuchh bhi nahin mutthi mein jo aa jae daulat hai aur shauq tera wan kuchh bhi nahin mahtab ki rangat dekhi hai taron ki sajawat dekhi hai aur qaus-e-quzah ki rangini ambar ki jabin par dekhi hai nazron ka faqat dhoka hi sahi lekin achchha lagta hai tum apne khayalon ke baadal se anwar-e-sahar ko baatil thahrao andeshon ke tane bane se khushbu ko shikanjon mein kas do taron ki qaba-e-zar dhundla do mahtab ki kheti pamal karo kis tarah basar hon sham-o-sahar tarik hai shab mushkil hai safar manzil ki nahin rahi ko khabar man mera viran sahi barbaad sahi hai is se jhilmil rahguzar khushbu ke dagar chandi ke nagar giton ke shajar taron ke samar palkon pe charaghan ka manzar tum aah bharo bhi to dhire se aisa na ho sab kuchh bujh jae is baat ka dekho dhyan rahe