dil ki dhadkan se ayan zehn ke pardon mein nihan dhundla dhundla sa wo ek aks tere chehre ka ek muddat hui dekha tha tujhe khal-o-khat yaad na aae mujh ko subh-dam jaise koi soch raha ho baitha raat kya khwab nazar aaya tha aur ek umr guzar jaane par dafatan meri tamanna ki tarah aaina-khana-e-taswir mein aaj jal uthen tere khat-o-khal ki shamen sari aur wahi raat ka bhula hua khwab teri aankhon tere aariz tere lab ki surat subh-dam dekh raha hai koi