suni suni si lagi hai mujh ko wo sardiyon mein lihaf odhe hue kahani kahin alaw ke gird chalte hue wo qisse saron pe apne angochhe bandhe hue wo qisse alaw ke gird jalte bujhte hue wo qisse kahin pe shahzadiyon ke qisse kahin parindon ki khichdiyon ki wahi kahani wo ek chida jo kha gaya tha tamam khichdi kahin namak si kahin mirch si kabhi wo mithi khatai jaisi nai kahani bahut purani si baat hai ye na ab alaw ke gird mela na chidiya chide ki wo kahani namak ki khatir na shahzadi ne dukh uthae wo shahzada jo jangalon mein talash karta raha tha pani wahin pe us ko pari mili thi tamam jangal bhi kat chuke hain siraj anwar ke sare jangal kahin nahin hain wo sari pariyan bhi so gai hain na shahzade na koi jadu bhari kahani kahan hain nastor ke wo qisse jo hath apna badha ke dawat khinchta tha bas ab to wo daur bhi khatm hai nahin hain bachchon ke wo risale khilauna phulwari sharir ladka na motu patlu ke pyare qisse bas ab to khabren dahadti hain